[go: up one dir, main page]

0% found this document useful (0 votes)
81 views6 pages

Juzz7 Assignment

The document discusses various verses from Surah Al Maidah and Surah Al An’am, addressing topics such as the significance of faith, dietary laws, the consequences of oaths, and the nature of divine revelation. It highlights the importance of adhering to halal practices, the dangers of intoxicants, and the responsibilities of believers. Additionally, it emphasizes the role of prophets and the consequences faced by those who reject divine guidance.

Uploaded by

uzma aamir
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
81 views6 pages

Juzz7 Assignment

The document discusses various verses from Surah Al Maidah and Surah Al An’am, addressing topics such as the significance of faith, dietary laws, the consequences of oaths, and the nature of divine revelation. It highlights the importance of adhering to halal practices, the dangers of intoxicants, and the responsibilities of believers. Additionally, it emphasizes the role of prophets and the consequences faced by those who reject divine guidance.

Uploaded by

uzma aamir
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 6

Juzz 7 – Wa Iza Samiu – Assignment

Surah Al Maidah - Ayah (83–120)

Q1. Ayat 83- Kiski Ankhen Aasoun Se Tar Hai Aur Kyun?
A1. Jo Isai Allah Ta’ala Ki Nazil Ki Hui Injeel Par Yakeen Karte Hai, Who Quran Sunte Hi
Samajhlete Hai Ki Yeh Allah Ka Nazil Kiya Hua Kalaam Hai To Unki Ankhen Aasoun Se Tar Hoti
Hai. (Nasara – Habasha Ka Badshah Najashi).

Q2. Habsa Ke Badasha Najashi Kay Iman Lane Kay Waqeye Kay Baare Main Aap Kya Jaante
Hai?
A2. -Musalmaan Ki Habsha Hijrat Karne Kay Baad, Quraish Ne Unko Wapas Lane, Habsha Apne
Aadmi Bheje.
- Unlogo Ne Waha Ke Padriyon Se Milkar Saazish Banayi.
- Unlogo Ne Musalmano Ko Bad-Deen Kaha.
- Habsha Ne Musalmano Ki Bhi Baat Suni Aur Harzat Jaafar(Ra) Ne (Saws) Ke Paigam Aur Surah
Maryam Ki Ayat Sunai Toh Wo Iman Laye.

Q3. Ayat 87-88 Se Aapne Kya Seekha? Hame Khane Peene Kay Mamale Me Kya Rawaiya
Ektiyaar Karna Chahiye?
A3. Jo Allah Ne Halal Karaar Diya Use Apne Oopar Haram Maat Karo. Halal Jo Apne Zaat Me
Halal Ho – Aur Tayyib Jo Kamai Ka Zariya Ho Wo Bhi Pakeeza Ho.Koi Bhi Halah Cheez
Baatil(Haram) Tareeqe Se Kamayi Hui Ya Chori Ki Na Ho. Halal Khanna Khana Bhi Ibaadat Hai
Kyunki Jismani Zarooarat Ko Puri Karhne Wali Ghiza Se Insan Sehat Mand Rehta Hai Aur Ibadat
Acchi Tareeqe Se Kar Sakta Hai.

Q4. Qasm Kitne Kism Ki Hai


A4. Teen
1. Be Irada –Laghw – Allah Maaf Kar Dete Hai.
2. Jhooti Kasme – Kaffarah + Tauba
3. Baat Main Pookhtagi – Kaffarah.

Q5. Ayat 89 Qasm Khakar Todne Ke Liye Kya Hukm Hai?


A5. Qasm Khakar Todne Ke Liye Kaffarah Hai - 10 Miskeen Ko Khanna Khilana Ausat Darje Ka Jo
Hum Khilate Ho Apne Ghar Walo Ko Ya Utne Hi Kimat Kay Kapde Ya Ek Gardan Azad Karna Agar
Yeh Teen Na Kar Pao To Roza Rakhna Hai 3 Din Musalsil.

Q6. Qasmon Ki Hifazat Ka Kya Matlab Hai ?


A6. 1) Qasme Kasrat Se Na Khanna – Ye Munafiqeen Ki Sifaat Hai.
2)Qasam Khake Todna Nahi.
3) Tode To Kaffara Dena.
4) Ghair Allah Ki Qasam Nahi Khanna.
5) Jhooth

Q7. Ayat 90 ) Khamr Kya Cheez Hai? Kitni Mighdaar Me Lena Haram Hai?
A7. Kullu Muskirin Khamr Wa Kullu Muskirin Haram – Har Nashawar Cheez Khamr Hai Aur Har
Nashawar Cheez Haram Hai . Jo Cheez Nasha Kare Wo Thodi Mighdaar Me Bhi Haram Hai.
Q8. Ayat 90) Khamr,Maysar, Nasab Aur Azlaam Ke Lafzee Mayne Likhiye. Inke Bare Me Kya
Hukm Hai?
A8. Lafzee Mayne-
Khamr : Dhampna(Jo Aqal Ko Dhaamp De).
Maysar: Wo Maal Jo Aasani Se Haasil Ho(Bagair Kisi Mehnat Ke).
Nasab: Gadhi Hui. Wo Paththar Jo Ibadat Ke Liye Gaadhe Jaye.
Azlaam: Teer – Wo Teer Jisse Kismat Ka Haal Patta Chale.
Sab Haram Gandi Cheez Hai(Rijz) Shaitani Kaamo Me Se Hai.Rahman Ke Bando Ke Liye Nahi Hai.

Q9. Ayat 91 ) Khamr Aur Maysar Ke Nuksanat?


A9.Khamr Rokta Hai Hume Namaz Se Aur Allah Ke Zikr Se. Aur Maysar Bando Ke Beech Adawat
Aur Bughz Paida Karta Hai. Ye Do Cheezein Allah Se Taaluq Kharaab Karti Hai Aur Bandoon Ke
Beech Taaluq Kharaab Karti Hai.
i. Dushmani Aur Bughz Daalta Hai Insaano Ke Beech.
ii. Allah Ke Zikr Se Rokta Hai.
iii. Namaz Se Rokta Hai.

Q10. Ayat 94 - Ki Shane Nuzool


A10. Musalmaan Jab Suleh Hudaibiyah Ke Safar Par Jaa Rahe To Halate – Ehraam Me The,
Boohat Jaanwar Itne Kareeb Aajate They Ki Unke Kaimey Tak Aate They – Toh Us Waqt Allah Ne
Yeh Ayat Nazil Ki Aur Rok Diya Unko Shikaar Se Jiske Woh Boohat Shaukeen The.

Q11. Halate Ehraam Se Muraad


A11. Ehram Ki Haalat Aur Hudood E Haram Me.

Q12. Halate Ehraam Me Kis Tarah Ka Shikaar Jazyaz Hai Aur Kis Tarah Ka Nahi ?
i. Jungle Aur Maidaan Me Khel Ke Liye Haram Hai.
ii. Maal Aur Jaan Ki Hifazat Ke Liye, Hamla Karne Wale Jaanwar Ko Maar Sakte Hai.
iii. Samandar Ka Shikaar Halal Hai.
iv. Roz Marra – Khane Ke Liye Saath Ka Jaanwar Zubah Kar Sakte Hai.

Q13. Ayat 97 Kin Cheezo Ki Hurmatein Batati Gayi Hai ? Inki Hurmatein Kaisi Hai?
A13. 1 ) Khanney Kaaba : For Ummrah, Hajj, Tawaf, Qibla. 1 Namaz = 1 Lakh Namazein.
2) Shehrul Haram : Zil Qadah, Zil Hijjah,Muhurrum, Rajab Inme Jung Haram.
3) Hadi And Qalaid : Zubah Only In Haram.Marna Nahi, Tang Nahi Karna.

Q14. Ayat 101 Ka Shanne Nuzool . Ghair Zaroori Sawwalon Ke Baare Me Kya Kaha Gaya Hai.
A14. Mushrikeen – E –Makkah Aap(Saws) Se Ghair Zaroori Sawal Karte The Jaise Unka Baap
Kaun Hai, Unki Gumshuda Oothni Kaha Hai Etc.
Ghair Zaroori Sawal – Isse Sakhtiyan Badhti Hai.

Q15. Jin Maamlat Ka Quran Aur Sunnat Me Zikr Nahi Hai, Uske Peeche Wajah Kya Hai? Un
Mamlon Me Hume Kya Karna Chahiye?
A15. (Hikmat Aur Rehmat) Allah Un Maamlon Ko Bhoole Nahi Hai, Lekin Allah Ne Insan Par
Sakhtiyan Na Ho, Us Wajah Se Khamosh Rahe. Hume Bhi Khamosh Rehna Hai.

Q16. Baheera, Saayeba, Waseela Aur Ham Kya Hai?


A16. Mushrikeen Insab Jaanwaro Ko Buthon Ka Naam Waqf Karte .Inse Kaam Nahi Lete, Na
Inko Khaate. Inko Khud Par Haram Kar Lete. Koi Kaam Karaye To Saza Dete The.
Q17. Ayat 106 Me Kis Wasiyat Ka Zikr Hai?
A17. 1. 1/3 Maal Ki.
2. Maal Ke Alawa Kisi Aur Cheez Ki.
3. Karz Ka Lena Ya Dena.
4. Maal Ke Taqseem Shariat Kay Mutabiq Ho Uska.

Q18. Ayat 106, 107,108


1. Kaafir Ki Gawahi Kab Le Jaa Sakti Hai? Jis Shaks Ki Wasiyat Di Jaye Use Kya Kehte Hai?
2. Agar Wasiyat Lene Wala Khayanat Kare To Waaris Ko Kya Karna Chahiye?
3. Jab Musalmaan Available Na Ho Toh.
A18. 1. Wasi.
2. Wasi Ko Namaz Ke Baad Bulakar Sab Ke Samne Allah Ki Qasam Dilwana Ki Woh Jhoota Nahi
3. Uske Baad Bhi Agar Us Kay Against Shaq Ya Proof Ho To Khud Kasam Khanna Ki Wo Jhoote
Aur Khud Sachche.

Q19. Ayat -110 Allah Ne Isa(As) Aur Unki Maa Ko Kin Kin Nematon Se Nawaza?
A19. Maa
1) Tamaam Jahan Walo Par Unko Chun Liye
2) Aisa Beta Diya Jaisa Kisi Ko Nahi.
3) Wiladat Ke Waqt Unki Allah Ne Madad Ki, Pani Ke Chasme Jari Kiye,Khajoor Tapkaye.
4) Unke Hujre Main Allah Rizk Bhejtey.
5) Isa(As) Ne Jhoole Me Baat Kar Ke Unki Difa Ki.
6) Unko Siddiqeen Ka Title Mila.
7) Unka Naam Quran Me Liya Gaya.
Isa(As) :
1) Maujuzaana Paidaish.
2) Jhoole Me Baat Ki.
3) Adhed Umar Me Duniya Me Aayege.
4) Allah Ne Unhe Kitab Aur Hikmat Di.
5) Taurat Ka Ilm Diya.(Reading And Writing)
6) Injeel Unpar Naazil Ki.
7) Woh Parinde Banakar Jaan Daalte.
8) Paidaishi Andhe Aur Kodhiyo Ko Theek Karte.
9) Murda Zinda Hote.
10) Bani Israel Se Bachcha Kar Unko Allah Ne Apne Pass Utha Liya.

Q20. Ayat 111- Wahi Kitne Kism Ki Hoti Hai ? Hawariyon Par Kis Tarah Ki Wahi Naazil Hui?
A20. 1- Sharai – Jo Farishte Ke Zariye, Paigambar Ki Taraf.
2- Ilham Ya Ilqah - Dil Me Baat Daal Di Jana.

Q21. Maidah Kise Kehte Hai? Maida Ke Waqiye Kay Bare Me Aap Kya Jante Hai?
A21. 1) Khanna Laga Hua Dastarkhaan Or A Table Set With Food.
2) Hawariyon Par Aasman Se, Allah Ki Taraf Se Naazil Hua Jispar Rotiyan Aur Machli Thi
3) Unhone Khaya Aur Khayanat Ki To Saza Me Bandar Aur Khinzeer Bana Diye Gaya.

Q22. Ayat 116,117,118 Qayamat Ke Din Allah Isa(As) Se Kya Sawal Karege? Woh Kya Jawab
Denge? Isa(As) Ke Jawab Se Kis Cheez Ki Wazahat Hoti Hai?
A22.
1. Ki Kiya Isa(As) Ne Unhe(Unki Qawm Ko) Do Ilaah Bannane Ka Hukm Diya.
2. Wo Jiska Haqq Nahi Rakhte Wo Hukm Nahi Diya Aur Aisa Karte To Allah Jaanta.
3. Paighaam Bachayege Nahi.
4. Rasool Ka Pallu Pakad Kar Hum Jannat Nahi Jaa Sakte –Amaal.

Q23. Ayat 118 Ke Baare Me Kya Khaas Baat Hai?


A23. Ye Ayat Rasool(Saws) Ne Ek Raat Bhar Tilawat Ki Aur Apni Ummat Ke Liye Dua Ki , To Allah
Ne Unhe Shifat Ki Ijazat Di.

Q24. Allah Bando Se, Bande Allah Se Kaise Raazi Honge?


A24. 1) Unko Janaat Me Dakhil Kar Ke.
2) Janaat Pa Kar.

Surah Al An’am - Ayah (1–110)

Q1. Surah Anaam Ke Nuzool Me Kya Koi Khaas Baat Hai?


A1. 70,000 Farishte Laye – Ek Raat Me Poori Ki Poori Nazil Huyi.

Q2. Ayat 1-3allah Apni Kya Pehchan Bata Rahe Hai?Is Se Mushrikeen Ke Kaise Aqaid Ki
Tarteed Ho Rahi Hai?
A2.
1. Allah Ne Hi Aasman, Zameen, Andhere, Raushani Banaya.
2. Usne Insan Ko (Adam(As) Ko Mitti Se Banaya, Phir Maut Dega Phir Qayamat Me
Uthayega.
3. Usi Ke Liye Hai Jo Aasman Aur Zameen Me Hai, Woh Zahir Aur Poshida Sab Ka Ilm
Rakhta Hai.
4. Sab Ke Alag Alag Khuda Nahi Balke Ek Allah Ne Sab Ko Paida Kiya.

Q3. Ayat 6 – Is Ayat Me Allah Kis Se Muqatib Hai? Kya Keh Rahe Hai Aur Kyun?
A3. 1. Mushrikeen E Makkah
2. Unko Apni Qawm Ki Quwwato Par Ghuroor Tha , To Allah Keh Rahe Hai Ki Kufr Ki Wajah Se
Unse Bhi Zyada Behtar Qaumein Halak Hui.

Q4. Ayat 8-9 Allah Ne Rasool Ko Farishta Kyun Nahi Banaya?


A4. 1) Fariston Ko Insan Dekh Nahi Sakta, Toh Usko Insaan Ki Shakal Me Hi Aana Padta –
Confusion Aur Badh Jaata.
2) Koi Amal Batate To Log Kehte Ye To Farista Hai, Hum Kaise Kar Sakte Hai.

Q5. Ayat 17 Nafa Aur Nuksan Ke Pahuchne Ke Bare Me Aap Kya Jaante Hai?
A5. Sirf Allah Pahuncha Sakte Hai. Tamam Jahan Milkar Bhi Utna Hu Nafa Aur Nuksan
Pahuncha Sakte Hai Jitna Allah Chahe.

Q6. Ayat 16 Sabse Badi Kamyabi Kya Hai ?


A6. Jise Allah Ne Apni Rehmat Se, Azab Se Bacha Liya.

Q7. Ayat 19 – Allah Ne Quran Ko Kyu Wahi Kaha?


A7. Taaki Logon Ko Iske Zariye Khabardaar Kare.
Q8. Ayat 25 -Pehle Ke Kahaniyon Ka Zikr Yaha Kyun Hai?
A8. Jin Waaqiyat Ka Zikr Quran Me Ibrat Ke Liye Hai,Mushrik Log Kente Hai Ki Ye
Muhammad(Saws) Ne Pichlon Ki Kahaniyaan Purani Kitabo Se Li Hai.

Q9. Ayat 30 Kuf-Far Ko Azaab Kis Wajah Se Diya Jaa Raha Hai?
A9. Kufr Ki Wajah Se

Q10. Qayamat Ki Ghadi Kaise Aayegi?


A10. Achanak, Log Apne Kaamo Me Mashghool Hoge, Khareedo Farokth Me Busy Hoge.

Q11. Ayat 32 Duniya Aur Akhirat Ki Zindagi Ke Bare Main Aap Kya Jaante Hai?
A11. Duniya – Machchar Ke Par Se Adni Aur
Qaidkhanna Momin Ke Liye – No Value. Jannat For Kaafir
Aakhirat – Behtar For Taqwa Wale.

Q12. Ayat 34 – Pichlei Rasoolon Ki Qaum Ne Unpar Zyadati Ki Toh Rasoolon Ne Kya Kiya?
A12. Sabr.

Q13. Ayat 35 Is Ayat Se Aap Kya Samjhe ?


A13. 1) Rusul – Muajuzon Ka Ikhtiyar Nahi Karte.
2)Allah Chahte Toh Muajuza Dikha Sakte Hai – Lekin Usme Hikmat Hai.
3)Iman Dilwane Mushrikeen Ki Demands Poore Karna Naadani Hai.

Q14. Ayat 50 Kya Rasool(Saws) Ko Ghaib Ka Ilm Tha?


A14. Nahi
Q15. Ayat 54 – Jahalat Me Kiye Gaye Gunnah Ka Kya Hoga?
A15. Taubaa Aur Islaah Par Maafi.

Q16. Ayat 60 – Wafaate Sughra Aur Kubra Kya Hai? Iska Zikr Yaha Kyun Hai?
A16. Sughra – Neend.
Kubra – Maut.
Mushrikeen-E-Makka Ko Marne Ka Baad Uthne Par Yakeen Nahi Tha.Yaha Allah Wafaat Sughra
Ka Example De Kar Samjha Rahe Hai, Ki Jis Tarah Neend Ke Baad Insan Oothta Hai Usi Tarah
Mat Ke Baad Bhi Oothega.
Q17. Inme Farq Bataiye.
A17.
1) ‫ فعل‬Koi Bhi Kaam, Bil Iraada Ya Bila Iraada – Dil Ka Kaam Ya Saas Lena.
2) ‫ صنع‬Mahraat Se Kaam Karna.
3) ‫ عمل‬Iraade Se Kiya Jane Wala Kaam . Reading, Writing.
4) ‫ كسب‬Wo Kaam Jisme Nafa Matloob Ho.
5) ‫ جرح‬Accha Ya Buraa Kaam Jisme Koshish Shamil Ho.

Q18. Ayat 61 Muhaafiz Farishton Ka Kaam Kya Hai?


A18. Amaal Ki Hifazat Karna.
Insan Ki Hifazat Karna.
Amaal Naama Likhna.
Q19. Iliy-Yeen Aur Sijeen Kya Hai?
A19. Iliy-Yeen : Nek Logon Ke Amaal Name Yaha Rakhe Jate Hai. Roohein Bhi Iliy-Yeen Main
Rakhi Jati Hai.

Q20. Ayat 70 – Khaulte Pani Aur Dard Naak Azaab Kis Ke Liye Hai?
A20. Kafiroon Ke – Jo Quraan, Rasool, Aakharat, Jahannum Ko Jhutlaaye. Allah Ki Ayat Ka
Mazaak Udaye. Duniya Ki Zindagi Ko Haq Samjhe Aur Usi Me Mashgool Na Ho Jaye.

Q21. Ayat 73 - Soor Ke Bare Me Aap Kya Jaate Hai?


A21. Soor - Narshingha,
Farishta – Israfeel,
Ghabrahat, Behoshi, Allah Ke Saamne Khade Hone Ka.

Q22. Ibraheem A.S Ke Bare Me Aap Kya Jaante Hai?


A22. Ibraheem A.S
1) Waalid – Aazar,
2) Born In Urr City,
3) Unki Qaum Budh Parast They, Unke 50,000 Mabood They. Nan-Naar-Chand Devta Ki Wo
Log Pooja Karte, Ibraheem (As) Ka Ghar Aur Walid Bhi Shirk Me Mubtelaa They,
Ibraheem (As) Khud Bhi Tawheed Par They Aur Doosron Ko Bhi Iski Taraf Dalaayal Pesh
Karke Bulaate.

Q23. Ayat 93 – Sabse Bade Zaalim Kaun Hai?


A23. 1. Jo Allah Par Jhooth Gadhe, Koi Baat Allah Se Mansoob Kare, Allah Ki Aulaadein Banaye
Etc,
2. Naboowat Ka Daawa Kare,
3. Allah Ke Kalaam Ki Tarah Kalaam Pesh Karne Ka Dawaa Kare. Aise Logon Par Sakti Waali Maut
Ayegi.
Q24. Ayat 97 – Sitaaron Ke Hone Ke Kaun Kaun Se Maqsad Quran Me Bataaye Gaye Hai?
A24. Zeenat, Aasmaan Me Khabar Lene Jaaane Waale Jin – Non Par Aag Banker Barasnaa,
Raaste Ki Shinaakht.

Q25. Ayat 98 –
1) Mukarrar Rehne Ki Jagah  Mother’s Womb (Rahm)
2) Supurd Karne Ki Jagah  Qabar.

Q26. Ayat 100 – Ahle Arab Jin-Non Ko Kyu Shareek Banaate?


A26. Unme Unse Panaah Maangna Aam Tha. Buth Parasti Jin Hi Unhe Sikhate. Wo Samajte
Ki Jinn Unko Nuksaan Pahun Chaayenge, To Nuksaan Se Bachne Unki Ibaadat Karte.
Q27. Ayat 108 – Mushrikeen Ke Maboodon Ko Gaali Kyun Nahi Dena Chahiye?
A27. Wo Reaction Me Allah Ko Gaali Denge. To Anjaam Ko Nazar Me Rakh Kar Kaam Karna
Chahiye.

You might also like