[go: up one dir, main page]

0% found this document useful (0 votes)
76 views6 pages

Juzz4 Assignment

The document discusses various aspects of Islamic teachings derived from Surah Aal Imran, including the importance of spending in the way of Allah, the significance of the first mosque, and the conditions for performing Hajj. It also addresses the characteristics of the righteous, the consequences of disobedience, and the lessons learned from historical battles such as Uhud and Badr. Additionally, it emphasizes the importance of unity, patience, and reliance on Allah in the face of challenges.

Uploaded by

uzma aamir
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
76 views6 pages

Juzz4 Assignment

The document discusses various aspects of Islamic teachings derived from Surah Aal Imran, including the importance of spending in the way of Allah, the significance of the first mosque, and the conditions for performing Hajj. It also addresses the characteristics of the righteous, the consequences of disobedience, and the lessons learned from historical battles such as Uhud and Badr. Additionally, it emphasizes the importance of unity, patience, and reliance on Allah in the face of challenges.

Uploaded by

uzma aamir
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 6

Juzz 4 – Lan Tana Loo – Assignment

Surah Aal Imran- Ayah 92-200


Q1) Ayat 92- Kis Cheez Ko Kharch Karne Ka Hukum Hai? Kharch Karne Waali Cheezo Me

Kya Kya Aayega?

A) Woh Cheez Jisse Hume Muhabbat Hai – Apne Liye Jo Pasand Karte.Maal Ke Alawa, Ilm,

Ghar Ki Cheezen,Waqt, Zewarat, Mehnat,Kapda Aur Sab Kuch – Jaan Aur Aulad Bhi.

Q2) Yahoodiyon Ke Yahan Kya Cheez Haraam Thi Aur Kyun?

A) Oont Ka Gosht Aur Uska Doodh, Yaqoob(As) Ki Bimaari Ki Wajah Se Unhone Khud Se

Rokha Tha(Bature Parhez). Kuch Cheeze Allah Ne Unke Nafarmaniya Ki Wajah Se Haram

Kiya Tha Jaise Sabt Ke Din Kaam Karna. Taurat Main Unke Liye Oont Ka Gosht Aur Uska

Doodh Haram Nahi Hai.

Q3) Aayaate Kauniyya Aur Shariyya Kya Hai?

A) Kauniyya – Jisme Qayamat Ki Nishaniyon Ka Zikr Hai- (Suraj, Chand, Badal, Barish).

Shariyya – Jisme Shariah Ahkamat Hai- Quran E Pak.

Q4) Duniya Me Sabse Pehli Masjid Kaunsi Hai? Uski Sabse Pehle Kisne Tameer Kisne Ki?

A) Sabse Pehli Masjid Baitullah Hai. Uski Sabse Pehle Farishto Ne Tameer Ki.

Q5) Baitullah Ki Tameer Ke Bare Me Aap Kya Jaante Hai?

A) Farishto Ne Ki – Adam(As) Ke 2000 Saal Pehle

1- Adam(As) 2- Sheesh(As) 3- Ibrahim(As) 4- Amaliqa 5- Banu Jurham 6- Quraish

7- Qusai Ibn Qilab 8- Muhammed(‫()صىل هللا عليه وسلم‬Hajre Aswad )

9- Abdullah Bin Zubair 10- Hajjaj Bin Yusuf 11- Sultan Bin Mohammed(Turkey).

Q6) Baitul Mamoor Kya Hai? Iske Baare Main Aap Kya Jante Hai?

A) Baitul Mamoor Farishto Ki Ibadatgah Hai Jisme Roz 70,000 Farishte Tawaf Kartey Hai.

Kisi Farishte Ko Dobara Mauqa Nahi Milta. Ye Ain Baitullah Ke Upar Hai Aasman Me Hai.

Q7) Makkah Shahar Me Kaun Kaunsi Khuli Nishaniyan Hai? Kuch Ka Zikr Kariye.

A) Maqame Ibrahim, Hajre Aswad, Zamzam, Safa Marwah, Rukne Yamani. Aur Ek Nishaani

Yeh Hai Ki Koi Aaj Tak Baitullah Ko Barbad Nahi Kar Saka.
Q8) Fareezaye Hajj Ki Istetaat Ke Kya Sharait Hai?

A) Musalman, Baaligh, Aaqil, Istatat – Maali Aur Jismani Istatat, Aurat Ke Liye Mehram,

Raasta Puraman Ho.

Q9) Istetaat Rakhtey Huye Hajj Naa Karne Wale Ke Liye Mohammad(‫( صىل هللا عليه وسلم‬Ne Kya

Farmaya?

A) Hadith – Mohammed(‫( صىل هللا عليه وسلم‬Ne Farmaya Jo Istatat Ke Bawajood Hajj Nahi Karte Wo

Chahe Yahud Ho Chahe Nasara, Allah Ko Koi Farq Nahi.

Q10) Allah Ke Dar Se Ya Taqwa Sa Hame Kin Kin Kaamo Sa Parhez Karna Hai ?

A) Shirk Aur Kufr Se, Kabeerah Gunah, Har Wo Cheez Jo Allah Aur Uske Rasool Ke Pass

Napasand Hai, Kabeerah Ho Ya Sagheera Jisme Shak Hai.

Q11) Salaam Ke Bare Me Ek Hadees Likhiye.

A) Hadith – Khuda Ki Qasam Tum Jab Tak Jannat Me Nahi Ja Sakte Jab Tak Tum Mumin Na Ho.
Tum Mumin Ho Nahi Sakte Jab Tak Tum Ek Doosre Se Mohabbat Na Karo. Kya Main Wo Tareeqa
Na Bataoo Jisse Aapas Me Mohabbat Ho – Aapas Mein Kasrat Se Salaam Kiya Karo.

Q12) Allah Ko Kaunsi 3 Batein Pasand Hai Aur Kaunsi 3 Naapasand?

A) Allah Ko Pasand

1) Allah Ki Ibadat Karna Kisi Ko Shareeq Na Banana.

2) Sab Ke Sab Allah Ki Rassi Ko Mazbooti Se Pakadhna.

3) Allah Jise Tumhara Hakim Bana De Uski Khairkhahi Karna.

Allah Ko Napasand

1) Bekar Behas.

2) Maal Barbaad.

3) Kasrat Se Sawal.

Q13) Behtareen Ummat Kaunsi Hai Aur Uski Zimmedariyan Kaunsi Hai?

A) Behtareen Ummat – Ummate Muhammadi Hai Jo Nikali Gayi Hai Logo Ke Liye Jo Hukm Dete
Hai Neki Ki Ka Aur Rokte Hai Burai Se Aur Iman Late Hai Allah Par.

Q14) Ghair Musalmaano Se Dili- Taal lukh Rakhne Se Kyun Mana Kiya Jaa Raha Hai ?

A) Deen Me Rukawat/ Kharabi – Kyuki Wo Hamesha Irada Rakhte Hai Musalmano Ki Kharabi Ka –
Deen Me Rukawat. Unke Seeno Me Hamesha Musalmano Ke Liye Bughz Hai.
Q15) Ayat 122- Kiske Barare Me Hai ?

A) Banu Salima(Aws) Aur Banu Haarisa(Khazraj) Ke Baare Me Hai.

Q16) Jange Uhad Ke Bare Me Aap Kya Jaante Hai?

A) Jung –E – Uhad 3 Hijri (12 Shawwal) Ko Huyi Thi. Jung –E – Badr Ke 1 Saal Baad – Jisme 700
Musalman The Aur 3000 Kafir The. Rasool Allah(‫( صىل هللا عليه وسلم‬Ki Baat Na Mankar Musalmano
Ne Maal E Ghanimat Ke Liye Apni Positions Chod Diye Jiski Wajah Se Unki Shikast Huyi. Jaan Aur
Maal Ka Bahut Nuqsan Hua.

Q17) Jange Badr Me Allah Taala Ne Ashabe Badr Ki Kaise Madad Ki? Ashabe Badr Ka Kya
Mukaam Hai?

A) Jung E Badr Me Allah Taala Ne Ashabe Badr Ko Farishto Ke Saath Madad Ki. Ashabe Badr
Ke Musalmaan Tamam Musalmano Se Afzal Hai Aur Jin Farishto Ne Madad Ki Wo Tamam
Farishto Se Afzal Hai.

Q18) Ayat 128- Ka Shaane Nuzool

A) Sahih Muslim – Hazrat Anas(Ra) Se Riwayat Hai – Rasool(‫( صىل هللا عليه وسلم‬Ne Kaha – Ya Allah
Kaise Wo Qaum Falah Pa Sakti Hai Jo Apne Nabi Ka Sar Zakmi Kare, Dant Tod Diye – Wo To Sirf
Logo Ko Allah Ki Taraf Bula Raha Tha, Jab Allah Yeh Aayat Nazil Karte Hai.

Q19) Ayat 135 – Muttaqiyon Ke Kya Sifat Batayi Gaye Hai?

A) Mutaqeen Wo Hai Jo Kharch Karte Hai Khushi Me Bhi Aur Tangi Me, Apne Ghusse Ko Pee
Jaate Hai, Logo Ko Darguzar Karte Hai. Jab Wo Koi Behayayi Ya Zulm Karte Hai Apne Nafso Par To
Fauran Allah Ko Yaad Karte Hai Aur Apne Gunaho Ki Baqshish Mangte Hai.

Q20) Kya Gussa Hona Achi Sifat Hai? Agar Aa Jaye Toh Kya Karna Chahiye?

A) Nahi Kyuki Ghussa Shaitaan Ki Taraf Se Hota Hai. Sabse Pehle – Audubillah Padhna Chahiye,
Khamosh Ho Jana Chahiye, Wudu Kare,Apna Position Change Kare, Do Rakat Namaz Pade Aur
Allah Se Maafi Mange. Ghauro Fiqr Kare Ki Kyu Gussa Aata Hai .Quran Ki Tilawat Se Bhi Gussa
Khattam Ho Jaata Hai.

Q21) Ayat 152 - Jange Uhud Me Aur Aaj Kal Bhi Jo Musalmaano Ki Shikast Ho Rahi Hai

Uska Sabab Kya Hai?

A) Buzdili, Jhadga, Allah Rasool Ki Nafarmani, Duniya Ki Aur Maal Ki Mohabbat – In Sab Ki

Wajah Se Junge Uhud Me Aur Aaj Kal Bhi Musalmano Ko Shikast Ho Rahi Hai.

Q22) Fatah Aur Shikast Ke Baare Me Momin Ka Kya Yakeen Hona Chahiye?

A) Momin Ko Apni Tayyari Kar Lena Chahiye Aur Phir Allah Par Tawakkal. Shikast Aur Fatah

Sirf Allah Ke Haath Me Hai.

Q23) Mushkil Waqt Me Ghar Par Baithne Se Kya Maut Se Bacha Ja Sakta Hai?
A) Nahi, Maut Se Koi Nahi Bach Sakta. Maut Ki Jagah Aur Waqt Muqarrar Hai. Har Nafs Ko Maut
Ka Maza Chakhna Hai.

Q24) Allah Taala Kis Ko Maaf Kar Rahe Hai Aur Kyun?

A) Junge Uhud Me Jin Musalmano Ki Wajah Se Shikast Hui Thi Jinhone Apni Jagah Chod Di Thi –
Allah Taala In Logo Ko Maaf Kar Rahe Hai.

Q25) Kaafir yaha Log Kaun Hai Aur Wo Kya Kehte Hai?

A) Kafir Munafiq Hai – Wo Na Haq Batein Karte Jaise – Agar Jo Shaheed Jue Wo Naa Jate Jang Par
To Nahi Maare Jate( Qatl Na Hota), Allah Ka Wada Saacha Na Tha, Allah Ki Madad Nahi Aayi Aur
Yeh Kehte Hai Ke Islam Ka Mustaqbil Achcha Nahi Hai.

Q26) Kaash Kehna Shaitan Ka Darwaaza Khol Deta Hai.

Q27) Allah Ki Kis Rehmat Ka Zikr Hai. Agar Ye Rehmat Naa Hoti To Kya Hota?

A) Mohammed(‫( صىل هللا عليه وسلم‬Raham Dil Hai – Wo Sang Dil Ya Tundkhu Nahi Hai- Agar Aisa
Hota Toh Unki Ummat Unse Door Chali Jaati.

Q28) Ayat 159 – Me Tableeq Karne Ka Kaisa Tareeqa Sikhaya Jaa Raha Hai?

A) Tableeq Karne Walo Ka Dil Narm Hona Chahiye, Logo Ki Baato Ko Darguzar Karna, Baqshish
Kar Dena, Mamlo Me Mashwara Karna. Apni Taraf Se Poori Tayyari Kar Lena Aur Phir Allah Par
Tawakkal Karna.

Q29) Kisi Bhi Mamle Ko Karne Ka Kya Tareeka Hona Chahiye?

A) Kisi Bhi Maamle Ko Karne Ka Tareeqa Ye Hona Chahiye Ki Apni Poori Tayyari Kar Lo Aur Phir
Allah Par Tawakkal Karo.

Q30) Amanat Me Khayanat Ke Baare Me Aap Kya Jaante Hai?

A) Qayamat Ke Din Wohi Khayanat Uske Khande Par Sawar Hogi.

Q31) Kaun Barabar Nahi Ho Sakte?

A) Jo Allah Ki Raza Ki Pairvi Karne Wale Hai Aur Jo Allah Koi Nafarmani Se Allah Ki Narazgi Haasil
Karte Hai – Dono Barabar Nahi Ho Sakte.

Q32) Allah Ka Kaunsa Ehsan Hai? Kaise?

A) Allah Ka Yeh Ahsan Hai Ki Usne Hamme Se Ek Rasool Bheja Jo Allah Ki Aayato Ko Padhta Hai
Aur Tazkiya E Nafs Karta Hai, Allah Ki Kitab Aur Hikmat Ki Taleem Deta Hai.

Q33) Jange Uhud Me Allah Ke Izn Se Shikast Huyi, Kyun?

A) Allah Mumino Ko Aazmakar Khalis Karna Chahta Tha. Unki Shikast Musalmano Ki Hi Kamzori
Thi – Maal Ki Mohabbat, ImamKi Nafarmani. Allah Unko Sabakh Dena Chahte The.

Q34) Agar Kisi Se Koi Galti Ho Jaaye Toh Use Kya Karna Chahiye?
A) Allah Ka Zikr Karna, Apni Galti Ya Gunah Ke Liye Baqshish Mangna Aur Us Galti Ka Israr Na
Karna(Repeat Na Karna).

Q35) Jange Uhud Se Aapko Kya Sabak Mila?

A) Apne Leader Ya Rasool Ki Itat Farz Hai, Maal Ki Mohabbat Manzil Se Hatati Hai – Aazmaish Ke
Bina Jannat Namumkin Hai, Har Haal Me Sabr Aur Allah Ki Aur Uske Rasool Ki Itat Karna, Kisi Ko
Halakat Ki Baddua Na Dena.

Q36) Jab Mohammed(‫( صىل هللا عليه وسلم‬Ka Inteqal Hua To Hazrat Umar(Ra) Ne Kya Kiya Aur
Hazrat Abu Bakr(Ra) Ne Kya Kiya?

A) Hazrat Umar(RA) Bahut Ghusse Me Aagaye Aur Sab Se Kaha Ki Koi Na Kahe Ki
Mohammed(‫( صىل هللا عليه وسلم‬Ka Inteqal Hua. Hazrat Abu Bakr Ne Ayat 144 Padhi.

Q37) Jange Uhud Me Sahaba Par Kaun Kaunse Gham Toote?

A) Junge Uhud Me Unki Shikast Huyi, Madina Ke 70 Bahtareen Sahabah Shaheed Ho Gaye.
Mohammed(‫( صىل هللا عليه وسلم‬Zakhmi Ho Gaye Aur Unke Inteqaal Hone Ki Jhoothi Khabar Phail
Gayi.

Q38) Jang Aur Ghazwa Me Kya Farq Hai?

A) Jis Jung Me Rasool Allah(‫( صىل هللا عليه وسلم‬Khud Shareek Huye The, Us Jung Ko Ghazwa Kahte
Hai. 7 Jungo Me Aap Ne Hissa Liya Tha – Badr Aur Uhud Ko Milakar.

Q39) Kya Aurtein Jang Me Hissa Le Sakti Hai? Wazahat Kariye

A) Ha, Aurtein Jung Me Hissa Le Sakti Hai – Jab Jung Me Mardo Ki Tadaad Kum Ho To.

Q40) Ayat 167 -168 Munafiq Kis Tarah Ke Bahane Banate Jab Unhe Jang Par Bulaya Jaata. Logon
Se Wo Kaisi Baatein Karte?

A) Agar Hum Jang Karna Jaante To Zaroor Aate(Jab Unka Mashwara Nahi Mana Jaata To Tanziya
Taur Par Kahte). Aur Jo Jang Par Maaare Gaye Ya Jo Jaakar Nuqsan Uthate Hai Unse Kehte Ki Agar
Wo Unke Saath Ruk Jaate To Na Mare Jaate.

Q41) Shaheed Ko Marte Huye Kitni Taqleef Hoti Hai? Hadees Ki Roshni Se Likhiye?

A) Rasool(‫( – صىل هللا عليه وسلم‬Shaheed Ko Maut Ke Waqt Sirf Itni Hi Takleef Hoti Hai Jitni Tumme
Se Kisi Ek Ko Cheenti Ke Kaatne Par Hoti Hai.

Q42) Ayat 179 – Me Khabees Aur Tayyab Se Kya Muraad Hai?

A) Momim Aur Munafiq.

Q43) Ayat 180 – Baqeel Ka Hashr Hoga?

A) Qayamat Ke Din Wo Maal Ka Tauq Pahnaya Jayega Jis Maal Par Usne Buql Kiya..

Q44) Himmat Ke Kaamon Me Se Kya Hai?

A) Sabr Aur Taqwa.


Q45) Surah Al Imran Ke Aakhir Me Kin Baaton Ki Talqeen Ki Jaa Rahi Hai?

A) Sabr Karne Ki, Bahum Muqable Par Sabr Karne Ki, Bahum Rabta Rakhne Ki Aur Taqwa Ki.

Q46) Surah Al Imran Se Aapney Kya Seekha? 4 Jumle Likhiye.

A) 1) Allah Ke Siwaye Koi Bhi Ibadat Ke Haqdar Nahi Hai Aur Humein Uske Saath Kisi Ko Bhi

Shareek Nahi Banana Chahiye Ha Wo Koi Insaan Ho Jaise Isa(As) Ya Koi Takhleeq.

2) Maal Kharch Karna Bohat Zaroori Hai Aur Isme Hamari Hi Aakhirat Ka Fayda Hai.

3) Apne Leader Ki Aur Rasool Ki Itat Karna Farz Hai Warna Nuqsan Duniya Me Aur Aakhirat

Me Uthana Padega.

4) Sabr Aur Taqwa Se Jannat Hai.

Surah An Nisa - Ayah 1-23


Q47) Makki Soortein Kaunsi Hoti Hai Madani Kaunsi?

A) Hijrat Se Pehle Jo Soortein Nazil Huye Who Makki Surtein Hai Aur Hijrat Ke Baad Jo

Surtein Nazil Huyi Unko Madani Kahte Hai.

Q48) Hazrat Hawwa Adam(AS) Ki Left Phansli Se Banayi Gayi.

Q49) Ayat 1 – Me Ek Nafs Adam(As) Hai.

Q50) Sile Rehmi Ke Baare Me Aap Kya Jaante Hai?

A) Sila Rehmi Jannat Me Le Jaane Wala Amal Hai. Rasool Allah(‫( صىل هللا عليه وسلم‬Ne Farmaya – Jo

Shaqs Chahta Hai Ki Uske Rizq Me Taraqqi Ho, Umar Lambi Ho To Use Chahiye Ki Who Sile Rahmi
Kare.

Q51) Jo Shaqs Ki Ek Se Zyada Biwiyan Ho Aur Wo Unme Adl Naa Kare To Uska Kya Haal

Hoga ?

A) Jo Shaqs Ki Ek Se Zyada Biwiya Ho Aur Wo Unme Adl Na Kare To Wo Qayamat Ke Din Adhe
Dhad Se Uthaya Jayega.

Q52) Kya Kisi Ko Diya Hua Tohfaa Waapas Liya Jaa Sakta Hai?

A) Nahi. Kisi Ko Diya Hua Tohfa Wapas Lena Aisa Hai Jaise Ke Ek Kutta Khai Karke Use Wapas Chat
Le.

Q53) Ayat 6 – Kya Yateem Ke Maal Ki Hifazat Karne Ki Ujrat Li Jaa Sakti Hai?

A) Nahi Li Jaa Sakti. Sirf Is Haal Me Ke Uske Paas Aur Zariya Aur Aamdani Na Ho Aur Wo Sirf Itna
Le Sakta Hai Jitna Haq Hai. Zyada Lena Ghalat Hoga.

You might also like