[go: up one dir, main page]

100% found this document useful (1 vote)
234 views6 pages

Juzz1 Assignment

The document contains a series of questions and answers related to Surah Fatiha and the first 141 verses of Surah Baqarah from the Quran. It covers various topics such as the importance of reciting certain phrases before reading the Quran, characteristics of the believers and disbelievers, and the significance of specific verses. Additionally, it discusses the attributes of prophets and the consequences of disbelief and hypocrisy.

Uploaded by

uzma aamir
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
100% found this document useful (1 vote)
234 views6 pages

Juzz1 Assignment

The document contains a series of questions and answers related to Surah Fatiha and the first 141 verses of Surah Baqarah from the Quran. It covers various topics such as the importance of reciting certain phrases before reading the Quran, characteristics of the believers and disbelievers, and the significance of specific verses. Additionally, it discusses the attributes of prophets and the consequences of disbelief and hypocrisy.

Uploaded by

uzma aamir
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 6

Juzz 1 – Assignment

Surah Fatiha & Surah Baqarah- Ayath 1-141

Q1) Surah Fatiha Ke Aur Naam.

A) Saba Masani, Al Kanz, Ash-Shifa

Q2)Quraan Padhne Se Pehle Aoozubillah Padhna Kyun Zaroori Hai?

A) Ye Allah Ka Hukm Hai,Ham Allah Ki Panaah Me Aa Jaate Hai Aur Shaitaan Ke Wasason Se
Bach Jaate Hai.

Q3) Aoozubillah Kab Kab Padhna Chahiye?

A) Jab Bhi Shaytaan Bhatkane Ki Koshish Kare,Gussa Aaye,Galat Kaam Ka Irada Ho etc

Q4) Bismillah Ko Kya Kehte Hai?

A) Tasmia, Basmalah

Q5) Bismillah Padhne Ke Kya Fayde Hai?

A) Kaam Me Barkat Hoti Hai,Allah Ki Madad Shamil Ho Jaati Hai.

Q6) Sirf Allah Hi Ibadat Ke Kyun Haqdaar Hai? Aur Sab Tareefen Allah Hi Ke Liye Kyun Hai?

A) Wo Rehmaan Hai, Wo Tamaam Jahan Waalon Ka Rab Hai,Yaumul Qiyamah Ka Maalik Hai.

Q7) Sabse Behtareen Dua.

A) Ihdinas Siraatul Mustaqeem

Q8) Kin Par Gazab Hua?

A) Yahood, Qaume Nooh, Aad, Saleh Ec.

Q9) Kaun Bhatke Hue Hai?

A) Isai Aur Tammam Gumraah Log.

Q10) Ameen Kisne Sikhaya?

A) Jibrael(As)

Q11) Ameen Ka Matlab?

A) Yaa Allah Qubool Farma.

Q12) Sure Baqara Ko Aur Al Imran Ko Az-Zehrawain Kehte Hai.

Q13) Alif Laam Meem Ko Kya Kehte Hai?


A) Huroofe Muqat Tayaat

Q14) 2-Quraan Kis Ke Liye Hidayat Hai?

A) Muttaqiyon Ke Liye.

Q15) Muttaqeeen Ke Sifaat Likhiye.

A) Ghaib Par Imaan Rakhte hai,Namaaz Qayam Karte Hai,Jo Kuch Allah Ne Ataa Kiya Wo
Kharch Karte Hai,Jo Kuch Allah Ne Mohd Saw Par Nazil Kiya Uspar Iman Laate

Hai Aur Jo Pehle Naazil Hua,Yaane Pehle Ke Ambiya Par Nazil Hua, Jaise Tauraat, Injeel
,Zuboor,Uspar Imaan Rakhte.

Q16) 2- Taqwaa Ke Mayne?

A) Allah Se Dar Kar Bure Kaamon Se Bachna Aur Allah Ki Mohabbat Me Ache Kaam Karna.

Q17) 6 -Kaafir Kyun Imaan Nahi Layenge?

A) Kyun Ke Un Ki Zid Ki Wajah Se Allah Ne Unke Dilon Par Mohar Laga Dee Hai.

Q18) 14-Imaan Waalon Ke Saath Munafiq Kya Karte Hai?

A) Jab Unse Milte Hai To Kehte Hai Ki Wo Iman Laa Chuke Lekin Jab Unke Ulmaa Ke Paas
Hote Hai To Kehte Hai Ki Wo To Unse Mazaakh Kar Rahe The.

Q19)

i. Muttaqiyon Ka Anjaam-Kaamyaabi
ii. Kaafiron Ka Anjaam-Bada Azaab
iii. Munafiqon Ka Anjaam-Dardnaak Azaab

Q20) 16-Hidayat Ke Badle Gumrahi Ko Qareedne Ka Kya Matlab Hai?

A) Duniya Ki Zindagi Ko Aqirat Ke Badle Tarjee Dena.

Q21) 19-Is Aayat Me Andhere, Kadak,Bijli Aur Baarish Se Kya Muraad Hai? Kaun Apni Kaanon
Me Ungliyaan Thos Rahe Hai Aur Kyun?

A) Is Ayat Me Ye sab Quran aur Shariat Ke Ehkamaat Hai.

B) Munafiq Apni Kaanon Me Ungliyaan Thos Rahe Hai Kyun Ki Shariat Ke Ehkaamaat Unko
Maut Lagti.

Q22) 24-Jahannum Ka Indhan(fuel) Kya Hai?

A) Insaan Aur Pat-Thar.

Q23) Kya Sure Baqara Ke Alawa Matchar Ka Zikr Quran Me Kahin Aur Hai?

A) Nahi.
Q24) 27-Faasiqon Ke Sifaat.

A) Allah Ke Ahad Ko Todte Hai, Rishton Ko Kaatte Hai, Zameen Me Fasaad Karte Hai.

Q25) Khaleefa Ka Kya Matlab Hai?

A) Jan Nasheen, Ek Ke Baad Ek Aane Waale.

Q26) 34-Aadam (As)Ko Farishton Par Tarjee Kyon Mili?

A) Ilm Ke Binaah Par.

Q27) Iblees Kaun Tha?Uske Inkaar Ki Wajah?

A) Wo Jinn Tha. Takabbur.

Q28) Sure Baqara Ke Shuru Me Bani Israel Ka Zikr Kyun Hai?

A) Kyun Ke Ye Madani Soorat Hai Aur Madine Me Aur Madine Ke Aas Paas Yahood

Rehte.

Q29) 40-Bani Israel Par Kaunsi Nematen Hui?

A) Allah Ne Unko Chuna Aur Bahut Se Nabi Unki Qaum Me Aaye.

Q30) Khashiyat Wo khauf hai jo Kisi Ki Azmat Ki Wajah Se Hota Hai.

Q31) Israel Kiska Laqab Hai?

A) Yakoob(As)

Q32) 47-Qayamat Ki Kya Tasweer Dikhayi Jaa Rahi Hai?

A) Koi Shaqs Kaam Nahi Aayega, Kisi Ki Sifaarish Nahi Qubool Hogi, Koi Badle Me Nahi Choot
Hogi, Koi Madad Naa Di Jaayegi.

Q33) Tauraat Kahan Utari Gayi?

A) Kohe Toor.

Q34) 58-59-Unlogon Ne Hittatun Ke Badle Kya Kaha? Ye Waqeya Kab Ka Hai?

A) Hintatun Yaa Habbatun

Hittatun-Astaghfirullah.

Habbatun-Gandhum Ka Daana.

Ye Waqeya Moosa (As) Ke Shagird Yoosha Bin Noon Ke Waqt Ka Hai.

Q35) Mannn Aur Salwa Kya Hai? Kya Wo Doosre Khano Se Behtar Hai?

A) Mann Ek Meethi Gond Ki Tarah Khane Ki Cheez Thi Aur Salwa Ek Batair Jaisa Parinda. Haan
Wo Behtar Thi Kyun Ki Wo Allah Ki Taraf Se Utaari Hui Giza Thi.
Q36) 65-Sabt Waalon Ne Kya Nafarmani Ki Aur Unka Kya Anjaam Hua?

A) Unko Allah Ka Hukm Tha Ki Hafte Ke Din Machli Naa Pakdo Lekin Unlogon Ne Jaal Ek Din
Pehle Daal Kar Nafarmaani Ki.Allah Ne Unko Bandar Bana Diya.

Q37) 75-Kaun Samjh Rahe Hai Ki Bani Israel Imaan Layenge?

A) Musalmaan Aur Sahabi Samajh Rahe The Ki Yahood Ke Paas Allah Ka Paighaam Aur Taurat
Hai, To Wo Aasaani Se Aur Jaldi Imaan Layenge.

Q38) 80-Yahoodiyon Ka Kya Aqeeda Hai?

A) Unko Jahannum Ki Aag Nahi Choo Sakti Kyon Ki Wo Chune Hue Hai Aur Agar Chuyegi Bhi
To Sirf Kuch Gine Chune Huye Dinon Ke Liye Hi.

Q39) Ehsaan Kya Hai?

A) Kisi Ko Uske Haq Se Zyada Dena,Apne Haq Se Kam Lena,Kaam Ko Khoobsoorti Se

Karna.

Q40) 83-Waaldain Se Ehsaan Ke Tareeke.

A) Unki Itaat, Shukr Guzaari, Uff Naa Bola Jaye, Achi Guftagu Ec

Q41) Guftagoo Me Husn Kaise Hoga?

A) Baat Ba Maqsad Ho, Be Maqsad Naa Ho,Saamne Waale Ko bhi bolne Ka Mauka Diya
Jaye,Mukhtasar Ho Etc.

Q42) 89-Pehle Wo Nabi Ke Aane Ki Kyon Duaen Karte?

A) Wo Log Kaafiron Se Nabi Ki Madad Se Jang Karke Fatah Hasil Karna Chahte, Lekin Jab Nabi
Bani Israel Se Naa Aakar Bani Ismael Se Aa Gaye To Unhone Inkaar Kiya.

Q43) 94-Jo Bani Israel Kehte Hai Ki Unke Liye Jannat Hai To Kya Kaha Jaa Raha Hai?

A) Unse Kaha Jaa Raha Hai Ki Maut Ki Tamanna Karo.Lekin Wo Aisa Kabhi Nahi Karenge Kyun
Ki Wo Zindagi Ke Bahut Hareees Hai Aur Chahte Hai Ki Unko Hazaar Saal Ki Umr Mile.

Q44) Kya Maut Ki Tamanna Aur Dua Kar Sakte Hai?

A) Nahi, Agar Karenge To Is Tarah Karenge Ke Agar Hamare Liye Zindagi Behtar Hai To Zindagi
De Aur Maut Behtar To Maut De.

Q45) 97-Wo Jibrael(As)Ke Dushman Kyun The?

A) Wo Samajhte Ki Jibrael (As) Ne Apni Marzi Se Bani Israel Par Nahi Bani Ismail Par Wahi
Laaye,Lekin Ye Allah Ki Marzi Thi.

Q46) Sihr Ka Matlab.

A) Lughwi-Haqeeqat Ko Badalna, Istelaahi-Jaadu


Q47) Sulemaan (As) Ki Qaum Ke Log- Jadu Me Mubtalaa The.

Q48) 102-Haroot Maroot Kaun The?

A) Farishte Jo Allah Ki Taraf Se Jaadu Sikhakar Logon Ko Aazmaane Aaye.

Q49)104-Rayina Kehne Se Sahaba Ko Kyun Mana Kiya Jaa Raha Hai?

A) Kyun Ki Munaafiq Rayina-Hamare Taraf Nazar Kijiye, Ko Rayeeeena-Charwaha, Se


Badalkar,Mohd Saw Ka Mazaakh Udate. Isme Allah Sikha Rahe Hai Ki Bajai Behas Aur Ladai Ke
Aisi Cheezon Ko Hi Chod Do.

Q50) 102-Aayatein Kyun Mansooq Hoti?

A) Allah Unse Behtar Hukm Laaye.

Q51) Moosa(As)Ko Allah Ne Kayi Maujooza Diye, Kuch Batayiye.

A) Unki Asa Saanp Ban Jaati, Unka Haath Raushan Hota, Un Par Mann Aur Salwa Utri Etc.

Q52) Isa(As)Ke Mujuzat.

A) Jhoole Me Baat Ki, Kodhi, Andhe Par Haath Pherte To Wo Theek Ho Jaate, Mitti Ke Parinde
Me Phoonk Maarte To Wo Zinda Ho Jaata, Murde Ko Allah Ke Izn Se Zinda Karte Etc

Q53) 114-Kiske Liye Azaab Aur Ruswaayi Hai?

A) Allah Ki Masajido Se Logon Ko Rokne Waalo Ko.

Q54) 116-Allah Ke Bete Kisne Banaye?

i. Yahood-Uzair (As)
ii. Isai-Isa(As)
iii. Mushrikeen-E-Makkah---Farishton Ko Allah Ki Betiyan

Q55) 119-Nabi Ke Kya Sifaat Bataye Jaa Rahe Hai?

A) Khush Khabri Dene Waale Aur Khabardaar Karne Waale.

Q56) 121-Tilawat Ka Haq Kaise Ada Hoga?

A) Tajweed, Tarteel, Samajh Kar Padhna, Doosron Ko Sikhana, Jo Padha Hai Usme Se Kuch Naa
Chipaana.

Q57) Ibrahim (As) Ki Aazmayash Kaise Li Gayi?

A) Wo Jis Mashere Me Paida Hue Wo Shirk Karta, Aag Me Jalaane Ki Koshish Ki Gayi Jiske Liye
Unke Baap Ne Khud Lakdiyaan Dhoye, Watan Se Nikaala Gaya,Der Tak Aulaad Na Huyi,Biwi
Aur Bete Ko Door Sehra Me Chodne Ka Hukm Hua, Bete Ko Zubah Karne Ka Hukm Hua.
Q58) Sabse Pehle Kaabe Ki Tameer- Farishton Ne, Adam(As), Shees(As), Ibrahim(As), Amaleqa,
Banu Jurham, Quraish, Qusai Ibn Kilaab,Jab Mohd Saw Ne Hajre Aswaad Rakha, Abdullah Bin
Zubair, Hajjaaj Bin Yusuf and so on......

Q59) Ayat 129 Me Rasool Ki Kya Zimmedaariyaan Batai Gayi?

A) Allah Ki Aayaten Padhna, Kitaab Ki Taleem Dena, Hikmat Ki Taleem Dena, Nafs Ka
Tazkiya Karna.

Q60) 138-Sibghatullah Se Muraad?

A) Allah Ka Rang

You might also like