[go: up one dir, main page]

0% found this document useful (0 votes)
150 views5 pages

RAMLEELA SCRIPT Part 1

Hbh

Uploaded by

gb147713
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
150 views5 pages

RAMLEELA SCRIPT Part 1

Hbh

Uploaded by

gb147713
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 5

RAMLEELA SCRIPT

*BALKAND MUSICAL ACT – CHANDANI’s DANCE ACADEMY VIDEO ( ROLE


OF Dasrath Koshalya Kaikayi Sumitra 6 dance girls)

*BACHPAN GURU VASISTH Balkand k ram laksman bharat satrughna ko lekr


gurukul jate h (Role of Guru vasisth Bachpan k RAM,Lakshman ,bharat ,satrughna,narrator)

Aur narrator ka role hoga

*SWAYAMVAR SABHI RAJA AYNGE SITA K SWAYAMVAR M AUR JANAK APNE


SIHASHAN MAI BAITHE HONGE AUR VAHI S GURU VASISTH RAM AUR LAKSHMAN KO
LEKR AYNGE Sabhi raja ek ek krke Dhanush ko bhang krne ka prayas krte h

*SWAYAMVAR

Janak: me mithila naresh janak apni juesth putri seeta ke swaymvar m aap sabhi veero ka
swagat krta hu.ataha jo bhi is bholenath k dhanush m pratyancha chadayega vohi meri putri
ka var hoga

Raja 1- aree ye dhanush…is dhanush ko todna to mere baye hath ka khel hai (Nhi utha pata
h frusted hoke chla jata h)

Raja 2 and 3 saath m aynge par uthn ni pynge

JANAK hatash hokr bole

JANAK-BasSsss…
ab aur nahi! He rajaon! He veer yoddhao! Yah swayamvar aap sabhi ke shaurya ki pariksha
tha. Parantu aap sabhi milkar bhi is Shiv Dhanush ko hila tak nahin paaye!

Is sabha mein aaya hua har ek raja, har ek yoddha, aaj apne saamarthya mein asafal siddh
hua hai!

(Sabha mein sannata chha jaata hai.

Lakshman, jo sab kuch sun rahe the, apne krodh ko sambhalte hue uthte hain.)

Lakshman (tej aur krodh se): Rajan.. Ese anuchit shbd khte hue apko ek baar bhi sankoch
nhi hua… is sabha m raghukul nandan shree ram bhi bethe hai. . . Or aap unke samne
veerta ki chunauti de rhe hai

Vishwamitr- shant.. Shant ho vatsh.. Apne aasan pr virajo


Vishwamitra: "Ram, jao. Is Shiv Dhanush ko uthaakar yah siddh kro ki dharti veeron se kabhi
khali nahi hoti."

DHANUSH KO TODENGE RAM JI Peeche se gaana bajega aur fir (ang sugandhit) Ram aur
sita mata ki varmala hogi Ram sita centre m jayenge

Pashuram enterrs
Ram lakshman janak pranam krnge

Janak: aaiye apka swagat hai aasan grahn kijiye


Parshuram: in meethe vachno se tum mujhe bahla nhi skte moorkh janak
Ham ye janne aaye hai hmare aaradhy shiv ke dhanush ko todne ka dussahas kis moorkh
ne kiya
Bta.. Btaa kiski mrityu hme yha lekar aayi hai

...Lakshman: ek dhanush toot gya to isme itna krodh krne wali kon si
baat hai.. Hmne to bachon m kitne dhanush tod dale.

Parshuram: raja k chokre Jra hosh me bat kr…vishv bhar m prashidh


shiv dhanush ko bacho ke tuchh dhanush ki bhati smjhta hai

Lakshman: lgta hai apko is purane dhanush se bhot moh hai... Raghuvar
ne ise hath lgaya or ye toot gya isme unka koi dosh nhi.

Parshuram: Vishwamitr ydi is nirankush balak ko jeewit dekhna chahte


ho to ise meri aankho se door le jao

Lakshman:aap aankhe bnd kr lijiye prabhu me dikhai nhi dunga

( ram lakshmn ki piche krenge)

Ram: bhgwan ..balak ki bato par dhyaan mat dhariye.. Aapka apradhi to
mai hu.. Yadi dnd dena hai to mujhe dijiye

Ram- Aap mahan hai, surya

ke saman tejassvi hai, apki aur hmari barabari ho hi nahi sakti.

Mera to chota sa naam hai Ram parantu apka to parshu sang bada
naam

hai, Parshuram. Hum apse aashirvad chahte hain, krodh nahi, vardan

chahte hain krodh nahi. Ab nirnay apka hai.


Parshuram lowers his weapons.

Parshuram: Kon ho tum? Is brahmand me aisa koi nahi jo parshuram ka

krodh itni saralta se shant kar sake. Parshuram: Janak ye tumhara


saubhagya hai ki Shree Ram tumhara

dham padhara, dhoom- dhaam se karo ye vivah. Hamara ashirwad hai

**RAJYABHISHEK (KAIKEYI AND MANTHRA SAMVAD)

Kaikeyi: Manthara! Dekh rahi ho? Pura Ayodhya utsav me dooba hai. Kal mere Ram ka
rajyabhishek hoga. Kitna shubh din hai!

Manthara: (kutil hansi ke saath) Maharani! Tum ise shubh samachar samajh rahi ho? Ye to
tumhare liye ashubh hai.

Kaikeyi: (ashcharya se) Kya keh rahi ho Manthare? Ashubh? Mere Ram ka rajyabhishek
mujhe kyun dukh dega? Vo to mere hi putra samaan hai.

Manthara: (teekhe shabd me) Yahi to tumhari bhool hai! Socho—agar Ram raja bane to
Bharat kya rahega? Ek sevak! Aur tum? Rajmata Kaushalya ke adheen ek up-patni bhar.

Kaikeyi: (udhasi se) Par Ram to dharmatma hai. Vo kabhi Bharat ka apmaan nahi karega.

Manthara: (kutil swar me) Dharmatma ho ya na ho, rajgaddi ka niyam hai—jo raja hai, uski
mata hi sabse badi hoti hai. Kal tak jo dasiyan tumhare charan dabaati thi, vo sab Kaushalya
ki aagya me hongi. Tumhara maan samaapt ho jayega.

Kaikeyi: (chintit hokar) To phir upaay kya ho sakta hai, Manthare?

Manthara: (chaal chalte hue) Uss din yaad hai, jab raja Dashrath ne tumhe do vardan diye
the? Abhi samay hai unhe maangne ka.

Kaikeyi: Haan, yaad hai. Lekin aise avsar par maangna…

Manthara: Yehi samay hai Maharani! Pehle vardan me maango—Bharat ka rajyabhishek.


Aur doosre vardan me—Ram ka chaudah varsh ka vanvaas. Tabhi tumhare putra ka
bhavishya surakshit rahega.

MANTHARA CHALI JATI H AUR KAIKEYI KOP BHAVAN M CHLI JATI HAI KAIKAYI APNE
BAAL KHOLTI H AUR CHUDIYA NIKALTI AUR WAHI SE DASRATH ATE H

Fir dasrath ate h aur gana bjta h aur musical act hota h jisme dasrath neeche rote h aur
kaikeyi ram aur lakshman ko vanvaas bhejne k lie khti h
Fir usi m ram sita vanvaas jate h aur musically sita ram s khti h ki unhe bhi unke saath jana
h

Narrator btaynge ki ab bharat aur satrughn aye h

*bharat

Aur musically bharat ram k per dhonynge aur vo unke padukayee lekr chle jynge

*SURPANKHA

Musically surpankha ayegi aur fir unka lakshman naakh katega vo dodte dodte ravan k pass
jyegi

*RAVAN

Ravan entry lega jisme peeche s koi song bjega aur fir vo apni jgh m jakr baith jyega aur fir
dance hoga

Aur vahi jab dance khtm hoga surpankha ayegi aur boleegi

Shurpanakha:​
“Bhaiyaaaaa Ram ne mujhe thukra diya aur Lakshman ne mera ye haal kiya h Mera
apmaan hua hai bhaiya mera apman hua h .”

Shurpanakha (instigating):​
“Ram ki patni Sita ati sundar hai… vo aapke liye hi bani hai. Use Lanka le aaiye.”

Ravan:​
“Thik hai Shurpanakha… Sita hi mere badle ka marg banegi.”

**SITA HARAN

Sita sees a swarn mrig and gets extremely fascinated seeing that.

Sita: Raghuveer, ye dekhiye raghuveer. Itna sundar mrig humne aj tak nahi dekha. Dekhiye
wo ja raha hai.

Ram: Lakshman ye dekho.

Lakshman: Bhaiya, Mujhe lagta hai ye mrig ke roop me rakshas Mareech hai. Ye avashya hi
maya hai.
Ram: Lakshman yadi ye mayavi hai to bhi mujhe iska vadh karna hi hoga. Lakshman tum
savdhani purvak Sita ki raksha karo. Me is mrig ko maar dalunga. Sita and Lakshman hear
Ram shouting their names

Sita: Lakshman bhaiya, hame lagta hai raghuveer kisi sankat me hain, aap unki shayta ke
liye jaiye.

Lakshman: Aap vyarth hi ghabra rahi hai. Ye ek mayavi hai jo hame bhatakna chah raha hai.

Sita: Bhaiya Lakshman, aap mitra roop me apne bhaiya ke shatru jaan padte hain.Agar aap
nahi jaoge to hum swayam chale jayenge.

Lakshman stops Sita.

Lakshman: Thik hai bhabhi. (Lakshman draws a bow and makes a line on the ground)
Bhabhi, bas apse ek hi nivedan hai jab tak me Ram bhaiya ke sath vapas na laut jau aap is
rekha ko paar mat kijiyega. Lakshman exits.

Enters Ravan dressed as a rishi. .

Ravan: Bhiksham dehi. Bhiksham dehi. Bhiksham dehi.

Sita: Pranam mahatma. Ravan: Kalyan ho devi. Hum bahut dur se aaye hain, tumhari kutiya
dekhi to socha kuch khane ko mang le.

Sita: Avashya mahatma, hum apke liye yatha sambhav bhojan laate hain. Sita goes to bring
bhojan meanwhile Ravan tries to cross the line but is unable to

. Sita: Munivar, bhojan. Le lijiye

Ravan: Le aao devi.

Sita: Aapko hi kasht karna padega, hum ye sima nahi lang sakte.

Fir lyrics bjnge videos m h aur ravan fir chla jyega sita mata ko lekr

You might also like